is ishq-e-junun-khez men kya kya nahin hota
divana hai jo qais se laila nahin hota
kuchh hashr lahad par abhi barpa nahin hota
aae ho to thahro koi zinda nahin hota
kyuun kar ye kahun husn ka nashsha nahin hota
hota to bahut hai magar itna nahin hota
kuchh kahiye to sharma ke jhuka lete hain gardan
bhule se bhi ab vada-e-farda nahin hota
milte hain vo dil surkh hui jaati hai chutki
nazuk hain bahut khun-e-tamanna nahin hota
deti hai maza mai ka hamen talkhi-e-tauba
jab haath men paimana-e-sahba nahin hota
vo hashr ke din kushte ko thukra chuke sau-bar
kuchh jaan si pad jaati hai zinda nahin hota
boli ye tamanna jo ruke vo dar-e-dil par
ghar aap ka hai aap se parda nahin hota
tiron ko jagah dete hain jo siine men apne
un logon ke ai jaan kaleja nahin hota
sahra se qadam ghar ki taraf khaak uthaun
kante se juda paanv ka chhala nahin hota
baithe nazar aate hain vahi teri gali men
jin ka kahin duniya men thikana nahin hota
furqat men hai kyuun nazaa ki taklif gavara
mar jaaen ‘riyaz’ aap se itna nahin hota
Leave a Reply