nazar to aa kabhi ankhon ki raushni ban kar
zamin-e-khushk ko sairab kar nami ban kar
racha hua hai tiri kam nigahiyon ka karam
nashe ki tarah mire dil men sarkhushi ban kar
kabhi to aa sitam-e-jan-gusil hi dene ko
kabhi guzar unhi rahon se ajnabi ban kar
khusha ki aur mila gham ka taziyana hamen
khusha vo dard jo chhaya hai naghmagi ban kar
hui na un se vafa tum se kya hua ‘nahid’
abhi talak jiye jaati ho bavli ban kar
Leave a Reply