is gham ko iḳhtiyar nahin kar raha huun main
ye to nahin ki pyaar nahin kar raha huun main
apni udasiyon ke nashe men huun aj-kal
shaghl-e-ḳhum-o-ḳhumar nahin kar raha huun main
kuchh der se hai rang-e-tamasha ruka hua
ik tiir dil se paar nahin kar raha huun main
ab dekhta huun raah men duniya saji hoi
ab tera intizar nahin kar raha huun main
main aap apna dard jagata huun raat bhar
kuchh tum pe inhisar nahin kar raha huun main
le rakh tu apna harf-e-tasalli bhi paas rakh
ye koi karobar nahin kar raha huun main
main ziist kar raha huun ye tum ko ḳhabar nahin
tum par to jan-nisar nahin kar raha huun main
hai dasht ye bhi hadd-e-tasavvur men is liye
is dasht ko bhi paar nahin kar raha huun main
kya raaz hai ki jis ko batane se peshtar
apna bhi e’tibar nahin kar raha huun main
yuun to rahe ho tum bhi saf-e-dushmanan men dost
lekin tumhen shumar nahin kar raha huun main
Leave a Reply