is ek Dar se ḳhvab dekhta nahin
jo dekhta huun main vo bhulta nahin
kisi munDer par koi diya jila
phir is ke ba.ad kya hua pata nahin
main aa raha tha raste main phuul the
main ja raha huun koi rokta nahin
tiri taraf chale to umr kaT ga.i
ye aur baat rasta kaTa nahin
is azhdahe ki aankh puchhti rahi
kisi ko ḳhauf aa raha hai ya nahin
main in dinon huun ḳhud se itna be-ḳhabar
main bujh chuka huun aur mujhe pata nahin
ye ishq bhi ajab ki ek shaḳhs se
mujhe laga ki ho gaya hua nahin
Leave a Reply