is daur men taufiq-e-ana di gai mujh ko
kis jurm ki akhir ye saza di gai mujh ko
main ne jo kiya fasl-e-baharan ka taqaza
ik phuul ki tasvir dikha di gai mujh ko
ye kaun mire naam ko dohra sa raha hai
shayad kisi gumbad men sada di gai mujh ko
vo un ka milana mujhe ik sahab-e-zar se
auqat miri yaad dila di gai mujh ko
pahle to navaza gaya main khilat-e-gham se
phir shahriyat-e-mulk-e-vafa di gai mujh ko
hairat hai ki is baar buzurgon ki taraf se
takmil-e-mohabbat ki dua di gai mujh ko
kuchh naama likhe hi the abhi mere qalam ne
kaghaz ki tarah aag laga di gai mujh ko
gum ho gaya masti men tadapne ka maza bhi
kya chiiz ‘qatil’ aaj pila di gai mujh ko
Leave a Reply