is darja ishq maujib-e-rusva.i ban gaya
main ap-apne ghar ka tamasha.i ban gaya
dair o haram ki raah se dil bach gaya magar
teri gali ke moḌ pe sauda.i ban gaya
bazm-e-vafa men aap se ik pal ka samna
yaad aa gaya to ahd-e-shanasa.i ban gaya
be-saḳhta bikhar ga.i jalvon ki ka.enat
a.ina TuuT kar tiri angḌa.i ban gaya
dekhi jo raqs karti hui mauj-e-zindagi
mera ḳhayal vaqt ki shahna.i ban gaya
Leave a Reply