is bazm men paate nahin dil-soz kisi ko
yaan sham.a hamari hai na parvana hamara
kis ke ruḳh-e-raushan ka tasavvur hai ye dil men
hai manzil-e-ḳhurshid siyah-ḳhana hamara
naseh ki nasihat se hai zid aur bhi dil ko
sunta nahin hoshyar ki divana hamara
dil le chuke phir bose ki takrar hai bheja
do jins hi ya pher do bai.ana hamara
ham zulf-e-pareshan ki tarah se hain pareshan
ab dam ki kashakash hai faqat shana hamara
sau arzu-e-murda ko rakkha hai jo dil men
takiya hai maqabir ka ye virana hamara
Leave a Reply