is baar hua kun ka asar aur tarah ka
is baar hai imkan-e-bashar aur tarah ka
is baar madine hi men dar aaya tha kuufa
is baar kiya ham ne safar aur tarah ka
is baar na asbab na chadar pe nazar thi
is baar tha lutne ka khatar aur tarah ka
is baar koi aib koi aib nahin tha
is baar kiya ham ne hunar aur tarah ka
is baar koi khair ka talib hi nahin tha
is baar tha andesha-e-shar aur tarah ka
is baar chali bad-e-sumum aur tarah ki
is baar khila hai gul-e-tar aur tarah ka
is baar to jibril-e-maani ko mila izn
is baar jala lafz ka par aur tarah ka
Leave a Reply