mujhe vo shaḳhs qalandar dikhā.ī detā hai
jo mere ḳhvāb ke andar dikhā.ī detā hai
ye lag rahā hai mirā shahr chhoḌ jā.egā
vo āj-kal mujhe aksar dikhā.ī detā hai
to kyā ye maan luuñ maiñ āsmāñ se uupar huuñ
har ik sitāra zamīñ par dikhā.ī detā hai
jo sāmne hai sarīhan nazar kā hai dhoka
vo hai nahīñ jo barābar dikhā.ī detā hai
tumhārī aañkh meñ dekhā hai sab ne dasht magar
mujhe to un meñ samundar dikhā.ī detā hai