is auj par na uchhalo mujhe hava kar ke
ki main jahan se huun utra ḳhuda ḳhuda kar ke
azal se mujh se hai vabasta ḳhair-o-shar ka nizam
na dekho mujh ko miri zaat se juda kar ke
main janta huun muqaffal hain saare darvaze
mujhe ye zid hai ki guzrun magar sada kar ke
main apne daur ke is karb ka huun a.ina
jo pesh-rau hue ruḳhsat mujhe ata kar ke
shikast-e-zabt pe main bhi bahut ḳhajil huun magar
khula hai us ka bharam mera samna kar ke
ye faḳhr kam nahin farigh hai dil gharib to kya
ki aabru to nahin khoi iltija kar ke
Leave a Reply