is arz ke taḳhte par sansar hai aur main huun
mauhum hua to kya par yaar hai aur main huun
paḌti hai nazar jidhar vo yaar hai aur main huun
hai kaun siva mere dildar hai aur main huun
main yaar kane qasid bheja to hai par shayad
le naama agar aaya ribar hai aur main huun
moḌunga nahin munh ko main ishq ke maidan se
is yaar ke abru ki talvar hai aur main huun
ab dekhiye kya nibTe siina hai sipar apna
vo ḳhanjar-e-mizhgan ka ḳhun-ḳhar hai aur main huun
jab se ba-sanam-ḳhana ki main ne qadam-bosi
sau tarah ki zahid se takrar hai aur main huun
rahib ne mire qashqa sandal ka lagaya hai
naqus hai ghanTa hai zunnar hai aur main huun
naf-o-zarar-e-duniya duniya hi pe main chhoḌa
ab ishq ka ai yaaro bevpar hai aur main huun
hairan main huun ai yaaro kis vaste ‘afridi’
rusva.i ba-har kucha bazar hai aur main huun
Leave a Reply