is arsa-e-mahshar se guzar kyuun nahin jaate
jiine ki tamanna hai to mar kyuun nahin jaate
ai shahr-e-ḳharabat ke ashufta-mizajon
jab TuuT chuke ho to bikhar kyuun nahin jaate
is dard ki shiddat bhi numu-ḳhez bahut hai
jo zaḳhm hain siine men vo bhar kyuun nahin jaate
ham mo.atakif-e-dasht-e-aziyyat to nahin hain
pairon se masafat ke bhanvar kyuun nahin jaate
jab aa.e hain maqtal men to kya lauT ke jaana
ab apne lahu men hi nikhar kyuun nahin jaate
jab Duub ke marna hai to kya soch rahe ho
in jhiil si ankhon men utar kyuun nahin jaate
ye bhi koi zid hai ki ye ‘shahid’ ki ana hai
jaate hain jidhar log udhar kyuun nahin jaate
Leave a Reply