in bala ki andhiyon men ik shajar baaqi rahe
faḳhtaon ke liye koi to ghar baaqi rahe
ek taara ek dipak ek jugnu hi sahi
raat ki divar men koi to dar baaqi rahe
chand ki kashti tah-e-dariya hui thi jis jagah
kuchh nishan baaqi rahe koi bhanvar baaqi rahe
jaane vaale ko kabhi bhi lauT kar aana nahin
lauT aane ki bahar-surat ḳhabar baaqi rahe
sard mausam men uTha kar haath ye mangen dua
tan men jaan baaqi rahe jaan men sharar baaqi rahe
raah men thak kar kahin par baiTh mat jaana ‘shafiq’
ghar ki janib vapsi ka ik safar baaqi rahe
Leave a Reply