• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Idhar To Hum Jaan Kho Rahe Hain Udhar Wo Ulfat Se Ro Rahe Hain

Idhar To Hum Jaan Kho Rahe Hain Udhar Wo Ulfat Se Ro Rahe Hain

poet

idhar to ham jaan kho rahe hain udhar vo ulfat se ro rahe hain

kuduraten umr bhar ki dil se vo aaj ashkon men dho rahe hain

na baaz rakh ham ko rone se tu giren jo ashkon ke daane bahattar

ye kisht-e-hasrat men apni hamdam umiid ka tukhm bo rahe hain

idhar taraqqi khayal ko hai udhar taraqqi jamal ko hai

vahan to madd-e-nazar hai surma yahan tasavvur men ro rahe hain

jahan hua tifl koi paida kaha ye maan ne abul-bashar ki

miri bhi aghosh hai kushada abas ye saman ho rahe hain

kiya hai be-jurm qatl mujh ko hujum-e-aghyar-o-ashna men

aur is pe dekho dhitai ashkon se daman apna bhigo rahe hain

na puchho kuchh maasiyat ka aalam farishto ham kya ki tum ne bachte

haqiqat is ki unhin se puchho sara-e-duniya men jo rahe hain

khabar visal-e-adu ki sun kar visal ke maani sochte hain

unhin ko vaan kuchh nahin hai shadi ki khush yahan ham bhi ho rahe hain

gila abas un se kiije ‘aqil’ kiya hai qismat ne un ko ghafil

jo dar pe ja kar pukara main ne to bole kah do ki so rahe hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

siraj-aurangabadi

Hamare Pas Jaanan Aan Pahuncha

Ho Gae Hum Shikar Phulon Ke

Ajib Rang Sa Chehron Pe Be-Kasi Ka Hai

poet

diwana Hun Mujhe Na Tasahul Se Bandhiye

poet

Kab Sune Zanjir Mujh Majruh diwane Ki Arz

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet