tujh se bichhad kar bhi zinda tha
mar mar kar ye zahr piya hai
chup rahna asan nahin tha
barson dil ka khuun kiya hai
jo kuchh guzri jaisi guzri
tujh ko kab ilzam diya hai
apne haal pe khud roya huun
khud hi apna chaak siya hai
kitni jankahi se main ne
tujh ko dil se mahv kiya hai
sannate ki jhiil men tu ne
phir kyuun patthar phenk diya hai
Leave a Reply