chehre se kab ayaan hai mire iztirar bhi
lekin main kar raha huun tira intizar bhi
shayad tujhe ho dastaras apne vajud par
mujh ko to is nazar pe nahin iḳhtiyar bhi
milne lage hain ab to ḳhushi ke libas men
gham-ha-e-zindagi ka hai koi shumar bhi
ho laakh ḳhub-ru koi apne ta.iin magar
hota hai aks-o-a.ine par inhisar bhi
yakja hui hain husn ki sab us men ḳhubiyan
chehre pe tazgi hai nazar men ḳhumar bhi
lagta hai jan-bujh ke aisa kiya gaya
tu ne bana.i chiiz koi pa.edar bhi
mahzuz ham bhi honge jo fursat kahin mile
gulshan bhi hai gulab bhi rang-e-bahar bhi
Leave a Reply