husn phir fitnagar hai kya kahiye
dil ki janib nazar hai kya kahiye
phir vahi rahguzar hai kya kahiye
zindagi raah par hai kya kahiye
husn khud parda-var hai kya kahiye
ye hamari nazar hai kya kahiye
aah to be-asar thi barson se
naghma bhi be-asar hai kya kahiye
husn hai ab na husn ke jalve
ab nazar hi nazar hai kya kahiye
aaj bhi hai ‘majaz’ khak-nashin
aur nazar arsh par hai kya kahiye
Leave a Reply