husn par hai khub-ruyan men vafa ki khu nahin
phuul hain ye sab pa in phulon men hargiz bu nahin
husn hai khubi hai sab tujh men pa ik ulfat nahin
aur sab kuchh hai pa jo ham chahte hain so nahin
ghar ujala tum kuun karna ho agar ehsan ka
to diya jo kuchh ke ho phir naam us ka lo nahin
baat jo ham chahte hain so to hai tum men sajan
be-dahan kahte hain tu kya dar ki tum ko go nahin
‘abru’ hai us kuun kyun-kar is tarah ka janiye
tum to kahte ho par aisa kaam us siin ho nahin
Leave a Reply