husn-o-ulfat saath hain aghaz se anjam tak
mera afsana suna ja.ega tere naam tak
zindagi ki talḳhiyan hain gardish-e-ayyam tak
lala-o-gul ka tabassum hai chaman men shaam tak
kya ḳhabar parda-ba-parda kitne jalve hain nihan
chashm-e-zahir-bin ne dekha un ko husn-e-am tak
jin ke paimane bhare hain un pe kya tera karam
lutf to saaqi hai jab bhar jaa.en ḳhali jaam tak
jis ne jiine ka irada kar liya vo ji gaya
us se katra kar chali hai gardish-e-ayyam tak
ban ga.e shaiḳh-o-barahman malik-e-dair-o-haram
faiz-e-mai-ḳhana magar jaari hai ḳhas-o-am tak
saans lena to nahin koi dalil-e-zindagi
zindagi kaisi nahin ab zindagi ka naam tak
husn ki pahli nazar hi dil ki duniya kho ga.i
luT ga.e aghaz men dekha nahin anjam tak
ab to saaqi azmat-e-mai-ḳhana tere haath hai
gardish-e-ayyam aa pahunchi hai daur-e-jam tak
mai-kada ka haal kuchh ho chashm-e-saqi kuchh kahe
hai surahi tak nazar ‘arif’ kisi ki jaam tak
Leave a Reply