husn ki bevafa.iyan tauba
ishq ki sar-giraniyan tauba
muzmahil qalb muntashir iman
muztarib naujavaniyan tauba
hai ra.unat ka a.ina shashdar
uf tiri ḳhud-numa.iyan tauba
ek be-nam si ḳhalish shayad
aur ḳhirad ki gavahiyan tauba
raste hain junun ke milti hain
unchi nichi si kha.iyan tauba
lab-e-kashmir par machalti hain
kuchh sulagti kahaniyan tauba
ajnabi rah-guzar men bikhri hain
zindagi ki nishaniyan tauba
andhiyon men charagh raushan hain
aql ki mehrbaniyan tauba
vo mahakte hue ḳhayal mire
vo tiri bad-gumaniyan tauba
aarzu ka ‘aziz’ taj-mahal
zindagi ki tabahiyan tauba
Leave a Reply