• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Husn Ke Jalwe luTae Teri Ranai Ne

Husn Ke Jalwe luTae Teri Ranai Ne

husn ke jalve luTa.e tiri ra.ana.i ne

raaz sab khol diye ek hi angḌa.i ne

rang bhar kar tiri tasvir men jazb-e-gham ka

apni tasvir bana di tire sauda.i ne

vasl-e-mahbub ki tadbir sujha.i mujh ko

haq-parasti ne aqidat ne jabin-sa.i ne

ham ne socha tha ki bujh ja.enge gham ke sho.ale

aa ke kuchh aur hava di unhen purva.i ne

shorish-e-dahr ne begana kiya ḳhud se mujhe

agahi baḳhshi mujhe gosha-e-tanha.i ne

ek ma.asum se chehre pe ra.unat ki numud

haa.e kya zulm kiya alam-e-barna.i ne

gardish-e-vaqt ne maiḳhane men dam toḌ diya

jaane kya chiiz pila di tire sahba.i ne

ruḳh tamashe ka badal Daala achanak aa kar

ek ḳhush-chehra ḳhush-andaz tamasha.i ne

charḳh aapas ke ta.alluq ka ye andaz bhi dekh

kar diya un ko bhi rusva miri rusva.i ne

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hawas Ke Rang Sabhi Aasman Wale Hain

poet

Jis Ko Ki dastaras Hui daman-E-Yar Tak

Sar Par Kisi Gharib Ke Na-Chaar Gir paDe

mirza-raza-barq

Wahshat Mein Bhi Rukh Jaanib-E-Sahra Na Karenge

Qais Kahta Tha Yahi Fikr Hai Din-Raat Mujhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet