husn jo lab kushā huā ġhunche chaTak chaTak ga.e
ham to harīm-e-nāz meñ aaj bahak bahak ga.e
garmī-e-chashm-e-mast se shīshe darak darak ga.e
jaam chhalak chhalak ga.e riñd bahak bahak ga.e
husn kī bārgāh meñ kah na sake hadīs-e-ġham
aañkh uThī na lab hile ham hī jhijak jhijak ga.e
us se bichhaḌ ke umr bhar phirte rahe haiñ dar-ba-dar
manzileñ sar huiiñ magar raah bhaTak bhaTak ga.e
aa.ī jo muddatoñ ke ba.ad us but-e-hīla-jū kī yaad
zabt ke bāvajūd ‘rāz’ ashk Tapak Tapak ga.e