
Yunus Tahseen
hurmat-e-ishq tujhe daagh lagane ka nahin
baat banti na bane baat se jaane ka nahin
ya-ḳhuda ḳhair ki ham donon ana vaale hain
vo bulane ka nahin aur main jaane ka nahin
vahshati huun so gareban ko aa sakta huun
mujh se Darne ka magar mujh ko Darane ka nahin
buḌhe a.asab kahan sahte hain aulad ka dukh
meri taklif miri maan ko batane ka nahin
ham to ik aisi zamin par hain jahan lashen hain
tum ne jo naqsha diya tha vo ḳhazane ka nahin
main azal ta-ba-abad aur abad ta-da.im
is ka matlab main kisi ek zamane ka nahin
dars ye ḳhaas hamen al-e-payambar se mila
sar kaTane ka magar sar ko jhukane ka nahin
main abu-bakr-o-ali vaala huun ‘yunus-tahsin’
mujh ko mulla ke masalik se milane ka nahin

Leave a Reply