ham se vafa karen ki vo ham par jafa karen
paaen khuda se ham jo buton se dagha karen
sayyad uda diya mujhe sar se utaar kar
sadqe tire huma tire sar par uda karen
vo din khuda dikhae ki ham bhi unhen sataen
ye naznin hasin hamara gila karen
ankhon men ashk aae to hansne ka lutf kya
itna na gudgudao ki ham ro diya karen
samjha de ja ke tu hi unhen ai nigah-e-yas
ab kosne ka vaqt nahin hai dua karen
rakh len ham aap laao dil-e-be-qarar men
aisa na ho ki tiir tumhare khata karen
ham laakh parsaon ke ik parsa sahi
mauqe se tum ko paaen to batlao kya karen
pazhmurda phuul ban ke rahe na-murad dil
khil kar tumhare haar ki kaliyan hansa karen
vo din kahan ‘riyaz’ vo raten kahan ‘riyaz’
baithe hue kisi ki balaen liya karen
Leave a Reply