ham se puchha kya biiti hai aḳhir-e-shab ke maron par
sahra sahra rang bikhere raqs kiya angaron par
ik saaya sharmata lajata raah men tanha chhoḌ gaya
main parchha.in DhunD raha huun TuuTi hui divaron par
sar-gashta the mauj-e-hava se biit gaya vo mausam to ham
barg-e-ḳhizan ki manind ab avara hain kohsaron par
bhuli-bisri yaden aa kar sargoshi karti hain
phir se koi giit sunao dil ke shikasta taron par
Leave a Reply