ham ne sau sau tarah banai baat
samne us ke ban na aai baat
sach to kahta hai dost dushman hai
ham ne naseh ki azmai baat
baat ke katne ka shikva kya
ho jahan qata ashnai baat
vaade par us se kyuun qasam mange
muft bigdi bani banai baat
ham ko dushman se ho gai maalum
dost ne ham se jo chhupai baat
kya shab-e-vasl ko ghatana hai
gham hijran ki kyuun badhai baat
ye bhi un ke dahan ki khubi hai
ki samajh men miri na aai baat
shahr se kyuun karen vo azm-e-safar
ham-nashin tu ne kya udaai baat
vaan se ja kar khabar nahin laaya
hai kahin ki suni sunai baat
bhed apnon se bhi na kah ‘nazim’
munh se nikli hui parai baat
Leave a Reply