ham ne likhi hai lahu se dastan to kya hua
is pe hairan gar nahin kaun-o-makan to kya hua
saath baaba ke khilaune lene ghar se tha chala
koi e.azaz-e-yatimi jo de vaan to kya hua
log kahte the ki aise gham men ye bhi rote hain
jo nahin ro.e zamin-o-asman to kya hua
mere baaba meri amman meri aapi ke siva
hai mila insaf bhi mujh ko yahan to kya hua
chashm-e-girya ashkon ka sailab to ab tham chuka
baad phir hain lekin ab dariya ravan to kya hua
ik zamana tha ki bol uThte the aksar be-zaban
bolne qabil nahin ahl-e-zaban to kya hua
meri duniya men lagi jo aag to sab jal gaya
raakh se hasrat hai uTThe bhi dhuan to kya hua
Leave a Reply