ham ne kis raat naala sar na kiya
par use aah kuchh asar na kiya
sab ke haan tum hue karam-farma
is taraf ko kabhu guzar na kiya
kyuun bhaven tante ho banda-navaz
siina kis vaqt main sipar na kiya
kitne bandon ko jaan se khoya
kuchh khuda ka bhi tu ne dar na kiya
dekhne ko rahe taraste ham
na kiya rahm tu ne par na kiya
aap se ham guzar gae kab ke
kya hai zahir men go safar na kiya
kaun sa dil hai vo ki jis men aah
khana-abad tu ne ghar na kiya
tujh se zalim ke samne aaya
jaan ka main ne kuchh khatar na kiya
sab ke jauhar nazar men aae ‘dard’
be-hunar tu ne kuchh hunar na kiya
Leave a Reply