ham ne dil us ke ta.iin nazr guzara apna
us ne samjha na sar-e-bazm ishara apna
kya pukarun ki sada bhi na vahan ja.egi
jaane kis des gaya yaar vo pyara apna
le gaya duur use ḳhvab-e-adam ka afsun
niind se phir na uTha anjuman-ara apna
umr ke saath juda hote chale ja.enge yaar
kam nahin hoga kisi taur ḳhasara apna
lauT kar aa.e to basti hai na talab na baagh
ham yahin chhoḌ ga.e the vo nazara apna
shaam hote hi bhaTakte the use dekhne ko
usi tarik gali men tha sitara apna
gham hue aise ki aata hi nahin koi javab
naam le le ke bahut ham ne pukara apna
ye jo galiyan hain mire shahr ki hain meri rafiq
unhi galiyon men bahut vaqt guzara apna
ham vo bimar-e-ana hain ki hue jis se ḳhafa
us ko chehra bhi dikhaya na dobara apna
barha pesh hua ḳhil.at-e-shahi ham ko
ham ne malbus-e-gada.i na utara apna
kya ḳhabar ban ga.i kis tarah ghazal ki surat
ham ne to dard hi kaghaz pe utara apna
ya-ali kahne se haT jaate hain raste se pahaḌ
ik yahi naam hai mushkil men sahara apna
Leave a Reply