ham pyaas ke maron ka is tarah guzara hai
ankhon men nadi lekin hathon men kinara hai
do chaar qadam chal kar do chaar ghaḌi rukna
manzil bhi tumhari hai rasta bhi tumhara hai
palkon ke nasheman se honTon ke gulistan tak
kuchh husn tumhara hai kuchh ishq hamara hai
phulon ke mahakne ka koi to sabab hoga
ya zulf pareshan hai ya lab ka ishara hai
barfab si duniya men bas ishq ko thamen rakh
ye aag ka dariya hi tinke ka sahara hai
ai pir-e-mughan tere maiḳhane men to ham ne
ik mai hi nahin pi hai jivan bhi guzara hai
ye shai jo shab-e-hijran jalti hai na bujhti hai
ab aa ke tumhin dekho jugnu hai ki taara hai
Leave a Reply