ham kyuun ye kahen koi hamara nahin hota
maujon ke liye koi kinara nahin hota
dil TuuT bhi jaa.e to mohabbat nahin miTti
is raah men luT kar bhi ḳhasara nahin hota
sarmaya-e-shab hote hain yuun to sabhi taare
har taara magar sub.h ka taara nahin hota
ashkon se kahin miTta hai ehsas-e-talavvun
paani men jo ghul jaa.e vo paara nahin hota
sone ki tarazu men mira dard na taulo
imdad se ghairat ka guzara nahin hota
tum bhi to ‘muzaffar’ ki kisi baat pe bolo
sha.er ka hi lafzon pe ijara nahin hota
Leave a Reply