ham kab us raah se guzarte hain
apni avargi se Darte hain
kashtiyan Duub bhi to sakti hain
Duub kar bhi to paar utarte hain
toḌ kar rishta-e-ḳhulus ahbab
ansuon ki tarah bikharte hain
apne ehsas ki kasauTi par
ham bhi puure kahan utarte hain
chahe kaisa hi daur aa jaa.e
apne halat kab sanvarte hain
sat.h par hain hubab ke ḳheme
Dubne vaale kab ubharte hain
ek halat pe ham nahin rahte
jam.a hote hain phir bikharte hain
zindagi tere naam kar di thi
ab tira naam le ke marte hain
ranj o rahat ki kashmakash men ‘shakil’
umr ke qafile guzarte hain
Leave a Reply