ham dil ki tabahi ka ye saman na karenge
is ghar men kisi aur ko mehman na karenge
ghabra ke kabhi chaak gireban na karenge
badnam tujhe fasl-e-baharan na karenge
mish.al ko charagh-e-tah-e-daman na karenge
jo daagh hain siine men vo pinhan na karenge
Takra.enge tere liye har mauj-e-bala se
sahil pe khaḌe shikva-e-tufan na karenge
ai vo ki tiri yaad hai taskin-e-dil-o-jan
halat hamen kuchh bhi pareshan na karenge
ye dard ki hai teri mohabbat ki amanat
mar ja.enge is dard ka darman na karenge
ai dost mohabbat ki nazakat hai nazar men
ham tujh ko kisi taur pashiman na karenge
dil men hai tiri chaah to ai jan-e-tamanna
ham aur kisi chiiz ka arman na karenge
Leave a Reply