ham apne zakhm sabhi ko dikha nahin sakte
jo shikva tum se hai sab ko suna nahin sakte
mire khayal ki gahrai ko zara samjho
ki sirf lafz to matlab bata nahin sakte
malal ye hai ki saaqi to ban gae sahab
sharab haath men hai aur pila nahin sakte
ajab hai phuul ki fitrat use masal kar tum
mahakte hathon ki khushbu chhupa nahin sakte
likha gaya jo muqaddar men harf-e-akhir hai
tum apni marzi se is ko mita nahin sakte
hazaron hiile bahane tarash lo phir bhi
tum apne chehre ki khiffat chhupa nahin sakte
ab ek ham hain ki sadiyan guzar den ‘adil’
aur ek vo hain ki lamha bata nahin sakte
Leave a Reply