• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Huk uThti Hai Mere Qalb Ki Gahrai Mein

Huk uThti Hai Mere Qalb Ki Gahrai Mein

huuk uThti hai mire qalb ki gahra.i men

us ki yaad aati hai jab raat ki tanha.i men

ab to do vaqt ki roTi bhi nahin milti hai

zindagi kaise kaTegi miri mahnga.i men

aaj aaya vo mire ghar to ye mahsus hua

mahtab utra ho jaise miri angna.i men

meri ankhon se nikal aa.e ḳhushi ke aansu

beTi ruḳhsat jo hui gunjti shahna.i men

ghar men mehman agar aa.en to ḳhushi hoti hai

main kasar kuchh nahin rakhta huun pazira.i men

na to roTi hi mayassar hai na kapḌa na makan

zindagi yuun bhi guzar jaati hai kaThina.i men

husn aisa hai ki a.ine ko hairan kar de

ik vafa ki hi kami hai mire harja.i men

kaise ash.ar men la.ega ghazal ki ḳhushbu

vo jo masruf hai bas qafiya paima.i men

daḳhila mera hi mamnua hai gulshan men ‘zaki’

jab ki ḳhuun main ne diya baagh ki zeba.i men

ai ‘zaki’ main ne bhi ye ḳhvah nahin samjha tha

un ki sazish rahi shamil miri paspa.i men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sar-E-Taslim Mera KHam Nahin Hone Deta

Humne to Justuju Ko Bhi Hai Muddaa Kiya

poet

Aish-E-Hazir Bhi Kahan Gham Se Rihai Dega

Raaz Ubal paDe aaKHir Aasman Ke Sinon Se

Ajab Hain Hum Ye Kis Ki Sai-E-La-Hasil Pe Rote Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet