• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hui Tasir Aah-O-Zari Ki

Hui Tasir Aah-O-Zari Ki

momin-khan-momin

hui tasir ah-o-zari ki

rah gai baat be-qarari ki

shikva-e-dushmani karen kis se

vaan shikayat hai dost-dari ki

mubtala-e-shab-e-firaq hue

zid se ham tira-rozgari ki

yaad aai jo garm-joshi-e-yar

dida-e-tar ne shola-bari ki

kyuun na dar jaun dekh kar vo zulf

hai shab-e-hijr ki si tariki

yaas dekho ki ghair se kah di

baat apni umid-vari ki

bas ki hai yaar ki kamar ka khayal

sher ki sujhti hai bariki

kar de roz-e-jaza shab-e-dijur

zulmat apni siyahkari ki

tere abru ki yaad men ham ne

nakhun-e-gham se dil-figari ki

qatl-e-dushman ka hai irada use

ye saza apni jan-nisari ki

kya musalman hue ki ai ‘momin’

hasil us but se sharmsari ki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kis Ke Sapnon Se Meri Nind Saji Rahti Hai

poet

Tera Ehsas-E-KHudi Hoga Na Jab Tak Bedar

Palkon Par Hasrat Ki ghaTaen Hum Bhi Pagal Tum Bhi

rahat-indori

Ghar Se Ye Soch Ke Nikla Hun Ki Mar Jaana Hai

Dil Ke Daman Mein Jo Sarmaya-E-Afkar Na Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet