• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hui Ek KHwab Se Shadi Meri Tanhai Ki

Hui Ek KHwab Se Shadi Meri Tanhai Ki

hui ik ḳhvab se shadi miri tanha.i ki

pahli beTi hai udasi miri tanha.i ki

abhi ma.alum nahin kitne hain zaati asbab

kitni vaj.hen hain samaji miri tanha.i ki

ja ke dekha to khula raunaq-e-bazar ka raaz

ek ik chiiz bani thi miri tanha.i ki

shahr-dar-shahr jo ye anjuman.en hain abad

tarbiyat-gahen hain saari miri tanha.i ki

sirf a.ina-e-aghosh-e-mohabbat men mili

ek tanha.i javabi miri tanha.i ki

saaf hai chehra-e-qatil miri ankhon men magar

mo’atabar kab hai gavahi miri tanha.i ki

hasil-e-vasl sifar hijr ka hasil bhi sifar

jaane kaisi hai riyazi miri tanha.i ki

kisi halat men bhi tanha nahin hone deti

hai yahi ek ḳharabi miri tanha.i ki

main jo yuun phirta huun mai-ḳhanon men but-ḳhanon men

hai yahi roza namazi miri tanha.i ki

‘farhat-ehsas’ vo ham-zad hai mera jis ne

shahr men dhuum macha di miri tanha.i ki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wo Saliqa Hamein Jine Ka Sikha De Saqi

Faza-E-Zehn Ki Jalti Hawa Badalne Tak

abu-mohammad-sahar

Har Khauf Har Khatar Se Guzarna Bhi Sikhiye

Inko KHala Mein Koi Nazar Aana Chahiye

Zeb Usko Ye Aashob-E-Gadai Nahin Deta

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet