hue mujh se jis ghaḌi tum juda tumhen yaad ho ki na yaad ho
miri har nazar thi ik iltija tumhen yaad ho ki na yaad ho
vo tumhara kahna ki ja.enge agar aa sake to phir a.enge
use ik zamana guzar gaya tumhen yaad ho ki na yaad ho
miri be-qarariyan dekh kar mujhe tum ne di thiin tasalliyan
mira chehra phir bhi udaas tha tumhen yaad ho ki na yaad ho
miri bebasi ne zaban tak jise la ke tum ko rula diya
mire TuuTe saaz ki vo sada tumhen yaad ho ki na yaad ho
tumhen chand qatra-e-ashk bhi kiye pesh jis ke javab men
vo salam nichi nigah ka tumhen yaad ho ki na yaad ho
mire shane par yahi zulf thi jo hai aaj mujh se khinchi khinchi
mire haath men yahi haath tha tumhen yaad ho ki na yaad ho
kabhi haath men jo sharab li vahin tum ne chhin ke phenk di
mujhe yaad hai mire parsa tumhen yaad ho ki na yaad ho
kahin tum ko jaana hua agar na ga.e baghair ‘nazir’ ke
vo zamana apne ‘nazir’ ka tumhen yaad ho ki na yaad ho
Leave a Reply