hon tum ko mubarak la.al-o-gohar ham le ke ye daulat kya karte
har shai ko fana hona hai agar to dhan se mohabbat kya karte
sad shukr vo the mail-ba-karam mar.ub the ro.ab-e-husn se ham
un se ahval-e-dil-e-pur-gham kahne ki jasarat kya karte
ham sahte rahe zulm aur jafa ye soch ke munh se kuchh na kaha
Talta hai kahin qismat ka likha phir un se shikayat kya karte
zahir men karam par maail hain aada ki safon men shamil hain
apne hi hamare qatil hain ghairon se shikayat kya karte
kyuun dar se na hota chehra dhuul shishe ka hamara jo tha makan
jo sang-ba-kaf aae the yahan ham un se baghavat kya karte
ye kaam tha bas tum se mumkin majbur rahe ‘ajiz’ har chhan
tum ne to shikayat ki lekin ham tum se shikayat kya karte
Leave a Reply