hua zahir khat-e-ru-e-nigar ahista-ahista
ki jyuun gulshan men aati hai bahar ahista-ahista
kiya huun rafta rafta raam us ki chashm-e-vehsi kuun
ki jyuun aahu kuun karte hain shikar ahista-ahista
jo apne tan kuun misl-e-juebar avval kiya paani
hua us sarv-qad suun ham-kanar ahista-ahista
barang-e-qatra-e-simab mere dil ki jumbish suun
hua hai dil sanam ka be-qarar ahista-ahista
use kahna baja hai ishq ke gulzar ka bulbul
jo gul-ruyan men paaya e’tibar ahista-ahista
mira dil ashk ho pahuncha hai kuche men sirijan ke
gaya kaabe men ye kashti-savar ahista-ahista
‘vali’ mat hasidan ki baat suun dil kuun mukaddar kar
ki akhir dil suun javega ghubar ahista-ahista
Leave a Reply