hua khatm dariya to sahra laga
safar ka tasalsul kahan ja laga
ajab raat basti ka naqsha laga
har ik naqsh andar se tuuta laga
tumhara hazaron se rishta laga
kaho sain ka kaam kaisa laga
abhi khinch hi jaati lahu ki dhanak
miyan tiir tuk tera tirchha laga
lahu men utarti rahi chandni
badan raat ka kitna thanda laga
taajjub ke surakh se dekhte
andhere men kaise nishana laga
Leave a Reply