hua huun dil seti banda piya ki mehrbani ka
fida karta huun har dam ji kuun apne yar-e-jani ka
diye men juun bati ho yuun dahakti hai zaban mukh men
karun jis raat ke andar bayan soz-e-nihani ka
unjho ankhiyan ke roghan hain hamare shola-e-dil kuun
bujhana ishq ki atish nahin hai kaam paani ka
asar karta hai naala ‘abru’ ka sang ke dil men
hunar sikha hai shayad kohkan suun tesha-rani ka
Leave a Reply