hota har qaid se azad to achchha hota
kaash main peḌ se TuuTa hua patta hota
vo hai bas ek sarab us ka ta.aqub na karo
abr hota to kahin TuuT ke barsa hota
chand ban kar hai tu muhtaj-e-ziya-e-ḳhurshid
sham.a banta to kisi ghar ka ujala hota
chhin liin mujh se ujalon ne tiri yaden bhi
is se behtar tha ki duniya men andhera hota
na sahi mere liye sa.i-e-mudava na sahi
kam se kam tum ne mira haal to puchha hota
Leave a Reply