hoñToñ pe us ke jumbish-e-inkār bhī nahīñ
āñkhoñ meñ koī shoḳhī-e-iqrār bhī nahīñ
bastī meñ koī mūnis-o-ġham-ḳhvār bhī nahīñ
‘ġhālib’ kā haa.e koī taraf-dār bhī nahīñ
kashtī burī tarah hai bhañvar meñ phañsī huī
lekin hamāre haath meñ patvār bhī nahīñ
un ko sazā.eñ dī haiñ zamāne ne bārhā
mulzim bhī jo nahīñ haiñ gunāhgār bhī nahīñ
tohfa ajab diyā hai chaman ko bahār ne
phūloñ kā zikr kyā hai koī ḳhaar bhī nahīñ
shāyad ta.alluqāt meñ ab injimād hai
pahlī sī baat baat pe takrār bhī nahīñ
show-pīs to banā diyā hālāt ne ‘asad’
koī magar hamārā ḳharīdār bhī nahīñ