aable paaon ke kya tu ne hamare tode
khar-e-sahra-e-junun arsh ke taare tode
zaqan o rukh men na jasuson se baaqi rakkhi
samar-e-gul chaman-e-husn ke saare tode
silsila apni giraftari ka kab qata hua
pahni pazeb unhon ne jo utare tode
mast mujh sa bhi koi nashsha ka hoga na haris
pi ke mai jaam ke danton se kinare tode
sharbat-e-vasl hai tanqid ki khatir maujud
tap-e-hijr aa ke badan ko na hamare tode
khatm duzdida nigah par hai tiri tarrari
dil nahin tode ahibba ke pitare tode
aa gaya vo shajar-e-husn nazar jab ham ko
bosa le kar lab-e-shirin ke chuvare tode
ishq be-dard se karne ko kaha tha kis ne
sar ko takra ke na dil dard ke maare tode
kunj-e-uzlat men bithaya hai khuda ne ‘atish’
ab jo tum yaan se hile paaon tumhare tode
Leave a Reply