ho ḳhuda ka karam iradon par
ji rahe hain kisi ke va.adon par
zindagi ko bana diya hai chaman
phuul barsen tumhari yadon par
asliyat kya hai ye ḳhuda jaane
zinda ab tak hain etiqadon par
paas aa kar gurez karte ho
zulm hai ye miri muradon par
chhin ga.e taḳht badshahon ke
tang duniya hai shah-zadon par
mil ke sab amn-o-chain se rahiye
la.anten bhejiye fasadon par
ai ‘falak’ naaz hai faqiri men
mujh ko bosida in libadon par
Leave a Reply