• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ho Ke Mayus uTh Gae Dar Se

Ho Ke Mayus uTh Gae Dar Se

ho ke mayus uTh ga.e dar se

hausle dhuup ke mire ghar se

tere ehsan ka javab nahin

baar utra na phir kabhi sar se

jhuk ke milta hai jo gharibon se

vo to uncha hai har qad-avar se

tum to bahar se joḌte ho mujhe

main to TuuTa hua huun andar se

kitna faqon men lutf aata hai

puchh luun kya kisi qalandar se

ik farishta bashar ke huliye men

mil gaya hai mujhe muqaddar se

jism koi juda nahin milta

jism hain saare sang-e-marmar se

DhunDne aa.e the shab-e-gham ko

ḳhalvaton men sharab ko tarse

suuni hain yaar bin guzargahen

dard ki aankh se lahu barse

bad-gumani bhi ho ga.i zahir

tere andar se tere bahar se

ḳhvab hote hain TuTne ke liye

aaj tabir-e-ḳhvab ko tarse

ishq aur ashiqi se us ko kya

aur kya sunte us suḳhnavar se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Parinda Aaine Se Kya laDega

Darida-Pairahanon Mein Shumar Hum Bhi Hain

ahmad-hamesh

Kis Ko Malum Hai Kya Hoga Nazar Se Pahle

sahir-ludhianvi

Ab Wo Karam Karen Ki Sitam Main Nashe Mein Hun

Yaad Karna Muhaal Lagta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet