qurb hai vasl mayassar nahīñ hone paatā
kab se ik qatra samundar nahīñ hone paatā
allāh allāh ye sannā.ī-e-naqqāsh-e-azal
ek bhī naqsh mukarrar nahīñ hone paatā
apne qadmoñ se kuchal detā hai saaya merā
jo mire qad ke barābar nahīñ hone paatā
ab to nākām tamannāoñ ke mātam ke liye
ek lamha bhī mayassar nahīñ hone paatā
itnā idrāk hai apne qad-o-qāmat kā mujhe
maiñ kabhī jaame se bāhar nahīñ hone paatā
mujh se sarzad jo huā hai vo gunah hai ki savāb
mujh ko mahsūs bhī aksar nahīñ hone paatā