bahut dinon se mujhe intizar hai lekin
tumhare shahr se koi yahan nahin aaya
main sochta huun to bas ye ki ab tumhari shakl
guzarte vaqt ke hathon badal gai hogi
khamida zulfon ki kaali ghata men ab shayad
safed balon ki taadad badh gai ho gi
tumhare gaal pe jo ek til chamakta tha
pata nahin vo chamak is men ab bhi baaqi hai
tumhari ankhon men ik chandni si raushan thi
pata nahin vo damak is men ab bhi baaqi hai
tumhari baton men phulon ki si mahak thi jo
pata nahin vo mahak ab bhi sunne vaale ko
masham-e-jan men utar kar nihal karti hai
tumhare mathe pe jo ek chand raushan tha
mujhe guman hai vo chand bujh gaya hoga
main sochta huun to bas is qadar ki ab tum ne
purane qisse ko dil se bhula diya hoga
yaqin mujhe bhi hai ab mil na paenge ham tum
magar ye rishta-e-dil kas tarah se toda jaae
fasana jo ki mukammal na ho saka us ko
kahan pe khatm kiya jaae kaise moda jaae
bahut dinon se mujhe intizar hai lekin
tumhare shahr se koi yahan nahin aaya
Leave a Reply