• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hijr Ki Be-Tabiyan Thin Hasraton Ka Josh Tha

Hijr Ki Be-Tabiyan Thin Hasraton Ka Josh Tha

hijr ki be-tabiyan thiin hasraton ka josh tha

husn ka aghosh phir bhi husn ka aghosh tha

ham to jis mahfil men baiThe shaghl-e-nav-nosh tha

zindagi men maut bhi aa.egi kis ko hosh tha

zabt karte karte aḳhir phuuT nikli dil ki baat

hans paḌa gulshan men jo bhi ghuncha-e-ḳhamosh tha

ehtiram-e-husn kahiye ya use rob-e-jamal

un ka parde se nikalna tha ki main behosh tha

mujh se puchho sarguzasht-e-mai-kada bada-kasho

tha kabhi mera bhi aalam main bhi bada-nosh tha

laghzishen meri musallam ibtida-e-ishq men

aap ko bhi kuchh ḳhabar thi aap ko bhi hosh tha

ishq ka e.ajaz tha ye ishq ki tasir bhi

dil se jo naala nikalta tha sukun-e-gosh tha

koi kya samjha miri divangi ko kya ḳhabar

aap ki nazron men tha itna to mujh ko hosh tha

aaj tasbih-o-musallla le ke ‘arif’ ban gaya

kal jo ruh-e-mai-kada tha rind-o-bada-nosh tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Be-Qanaat Qafile Hirs-O-Hawa oDhe Hue

Ghami KHushi banTi Thi Apne Bistar Se

Main Sath-E-Sher Pe Ubhra Hun Aaftab Liye

Bedam Shah Warsi

Ye Saqi Ki Karamat Hai Ki Faiz-e-Mai-Parasti Hai

etibar-sajid

Kabhi Tu Ne Khud Bhi Socha Ki Ye Pyas Hai To Kyun Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet